tu muqim subh-e-azal se hai meri shah-rag ke qarin sahi magar aa saka na mujhe nazar mere dil mein lakh makin sahi ye shikast-e-shewa-e-naz hai jo mizaj-e-husn badal sake kabhi munh se han na nikal saki jo kaha nahin to nahin sahi main wo aab-o-gil ka hun shoabada ki malak fareb mein aa gae meri dastaras mein hai arsh bhi main hazar khak-nashin sahi ye surur-o-zauq ki manzilen ye maqam-e-shauq ki rifaten meri aah-e-subh ki den hain mujhe is ka bhi na yaqin sahi tera aastan to na mil saka tere naqsh-e-pa hi agar milen mujhe kaam sajda-e-shauq se mera sajda nang-e-jabin sahi wo niyaz-mand 'munir' hai jise ma-siwa se gharaz nahin jo na dekhe aankh utha ke bhi koi rashk-e-mah-e-mubin sahi