sote sote chaunk pade hum khwab mein hum ne kya dekha jo khud hum ko dhund raha ho aisa ek rasta dekha dur se ek parchhain dekhi apne se milti-julti pas se apne chehre mein bhi aur koi chehra dekha sona lene jab nikle to har har dher mein mitti thi jab mitti ki khoj mein nikle sona hi sona dekha sukhi dharti sun leti hai pani ki aawazon ko pyasi aankhen bol uthti hain hum ne ek dariya dekha aaj hamein khud apne ashkon ki qimat malum hui apni chita mein apne-ap ko jab hum ne jalta dekha chandi ke se jin ke badan the suraj ke se mukhde the kuchh andhi galiyon mein hum ne un ka bhi saya dekha raat wahi phir baat hui na hum ko nind nahin aai apni ruh ke sannate se shor sa ek uthta dekha