wo dilkashi jo tere husn aur jamal mein hai usi ka aks farozan mere khayal mein hai khumar-e-tishna-labi mausam-e-junun-khezi kabhi ye hijr mein hai aur kabhi visal mein hai kabhi sahar mein kabhi sham mein hai jalwa-numa wo raushni jo tere husn-e-be-misal mein hai wo naghmagi jo darakhshan hai tere jalwon mein na roz-o-shab mein farozan na mah-o-sal mein hai sawad-e-sham mein tari hai sehr aur fusun usi ka rang tere husn-e-la-zawal mein hai hanuz jalwa-numa zindagi mein ho na saki wo tamkanat jo tere qahr aur jalal mein hai shikast-o-rekht se milti hai zindagi ko numud mere wajud ka unsur tere kamal mein hai kisi jihat mein rawan hai ye karwan-e-hayat bas ek rakht-e-safar hai jo mah-o-sal mein hai sahar qarib hai bujhti hain shab ki qindilen falak pe ek sitara hai so zawal mein hai tere jamal se rah-e-visal tak har ek jo marhala hai meri dastaras ke jal mein hai ab aur mujh ko rulaegi kya shab-e-hijran mera nasib tere kucha-e-malal mein hai bahut kashish hai teri sehr-kar aankhon mein ajib husn-e-ada tere khadd-o-khal mein hai junun ki rah mein har samt hai fareb-e-nazar chalun junub ki jaanib qadam shumal mein hai jawab us ne diya hai ai nama-bar lekin wo baat ab bhi nahin jo mere sawal mein hai 'saba' ajib sa jadu hai us ki aankhon mein na samri mein hai nargis mein na ghazal mein hai