sar-e-sahra musafir ko sitara yaad rahta hai main chalta hun mujhe chehra tumhaara yaad rahta hai tumhaara zarf hai tum ko mohabbat bhul jati hai hamein to jis ne hans kar bhi pukara yaad rahta hai mohabbat mein jo duba ho use sahil se kya lena kise is bahr mein ja kar kinara yaad rahta hai bahut lahron ko pakda dubne wale ke hathon ne yahi bas ek dariya ka nazara yaad rahta hai sadaen ek si yaksaniyat mein dub jati hain zara sa mukhtalif jis ne pukara yaad rahta hai main kis tezi se zinda hun main ye to bhul jata hun nahin aana hai duniya mein dobara yaad rahta hai