sawal shukr-o-shikayat ka ab raha hi nahin wo kaj-shiar meri samt dekhta hi nahin kisi mein hausla-e-tark-e-muddaa hi nahin ye wo mahaz hai jis par koi data hi nahin thama jo khair se tufan to hai bhanwar aage mere khilaf samundar bhi hai hawa hi nahin wo jis ka khauf gunahon se rok deta hai hamare daur mein aisi koi saza hi nahin jahan se pech-o-kham-e-rah ka hua aaghaz palat ke hum ne jo dekha to rahnuma hi nahin jabin-e-shauq bata ab kahan karun sajda mujhe talash thi jis ki wo naqsh-e-pa hi nahin faza hai dang samaat ke us taghayyur par koi sada-e-mohabbat se aashna hi nahin 'nasir' ja ke teri anjuman se laut aaya gaya tha jis ke irade se wo kaha hi nahin