yan kise gham hai jo girya ne asar chhod diya hum ne to shaghl hi ai dida-e-tar chhod diya dil-e-betab ka kuchh dhyan na aaya us dam hae kyun hum ne ise waqt-e-sahar chhod diya kya satae nahin jate hain wa-lekin chup hain shikwa karna tera ai rashk-e-qamar chhod diya dam-e-rukhsat kabhi kuchh dil ki tamanna na kahi daman-e-yar udhar pakda idhar chhod diya dil ki ulfat na sahi pyar ki baaten na sahi dekhna bhi to idhar ek nazar chhod diya ghair ke dhoke mein khat le ke mera qasid se padhne ko padh to liya nam magar chhod diya ghair se wada o iqrar hue kya kya kuchh mere khush karne ko ek fiqra udhar chhod diya main na kahta tha ki bahkaenge tum ko dushman tum ne kis waste aana mere ghar chhod diya munh se jo kahte hain wo kar ke dikha denge tumhein be-qarari ne hamein chain pe gar chhod diya hur bhi samne ab aae to kab dekhen 'nizam' barsen guzren hamein wo shauq-e-nazar chhod diya