raqib jod chala tum malal kar baithe kidhar khayal gaya kya khayal kar baithe khayal isi pe rahe dekh-bhaal kar baithe tumhaari bazm mein dil ko sanbhaal kar baithe mere gunah par in zahidon ko hairat hai ye aadmi ko farishta khayal kar baithe bachaun kyunkar ise kis tarah unhen talun ghazab hua ki wo dil ka sawal kar baithe raqib khush hue ab to tumhein qarar aaya ki misl-e-rang mera khun uchhaal kar baithe falak ki chaal hai ye aadmi ki chaal nahin chale to lakhon hi ko paemal kar baithe khamosh kyon ho ye nutq aadmi ka zewar hai jo koi baithe kahin bol chaal kar baithe khabar nahin ki hai kajal ki kothari duniya yahan jo baithe wo daman sanbhaal kar baithe jahan hai naqsh-bar-ab is mein dam ke dam hai qiyam koi kisi se yahan kya malal kar baithe tadap raha tha zamin par tadapne dete tum kisi ka dil ho koi paemal kar baithe tatolte hain jigar ko ki dil ko dhundte hain wo mere sine mein kyon hath dal kar baithe wo mera dil nahin ai jaan raqib ka dil hai tumhaara tir jagah dekh bhaal kar baithe kiya khayal zara bhi na khun-e-ashiq ka hina se tum kaf-e-gul-rang lal kar baithe hujum chaak-garebanon ka hai kuche mein huzur parde se kyon sar nikal kar baithe ye kya kiya ki unhen de diya dil ai 'akbar' tumhein khabar nahin wo tum se chaal kar baithe