rang badla hai kai din se mizaj-e-yar ka jod shayad chal gaya phir aaj kal aghyar ka kas qadar paya saweda-e-dil-e-ashiq ne auj rafta rafta til bana aakhir tere rukhsar ka ab to aa kar dekh jaana chahiye tujh ko zarur haal hai nau-e-digar isa tere bimar ka be-khudi mein zakhm-e-dil par jabki padti hai nazar hota hai dhoka tumhaare rauzan-e-diwar ka haal-e-dard-e-dil bayan kis se karun main bad-nasib tu hi jab pursan na ho le mere haal-e-zar ka baat karna ho gaya mushkil buton ke samne pad gaya phanda gale mein rishta-e-zunnar ka ho gaya hun na-tawan aisa tumhaare hijr mein todna mushkil hua hai aansuon ke tar ka ek faqat tere kashida hone se ye haal hai bhagta hai saya tak mujh se teri diwar ka na-tawan aisa hun pis kar khak ho jaun abhi saya pad jae agar mujh par teri diwar ka ab to surat apni dikhlao khuda ke waste dam nikalta hai tumhaare talib-e-didar ka apni kam-fahmi se 'anjum' hum nihayat tang hain zehn mein aata nahin mazmun dahan-e-yar ka