rang-e-tahzib-o-tamaddun ke shanasa hum bhi hain surat-e-aina marhun-e-tamasha hum bhi hain haal o mustaqbil ka kya hum ko sabaq dete hain aap is qadar to waqif-e-imroz-o-farda hum bhi hain ba-dil-e-na-khwasta hanste hain duniya ke liye warna sach ye hai pasheman-e-tamanna hum bhi hain kuchh safine hain ki tufan se hai jin ka saz-baz dekhne walon mein ek bairun-e-dariya hum bhi hain dekhna hai dekh lo uthti hui mahfil ka rang subah ke bujhte charaghon ka sambhaala hum bhi hain kaghzi malbus mein ubhri hai har shakl-e-hayat ret ki chadar pe ek naqsh-e-kaf-e-pa hum bhi hain ja-ba-ja bikhre nazar aate hain aasar-e-qadim pi gain jis ko guzargahen wo dariya hum bhi hain us haram ki zeb-o-zinat ko khuda rakkhe magar mujriman-e-ahd-o-paiman-e-kalisa hum bhi hain hum se gunja hai adam-abaad ka dasht-e-sukut aalam-e-arwah ka pahla dhamaka hum bhi hain hum jab uth jaenge ye uqda bhi hal ho jaega raunaq-e-mahfil charaghon ke alawa hum bhi hain khak kyun hota nahin jal kar hisar-e-ab-o-gil ye agar sach hai tere jalwon ka parda hum bhi hain hum pe jaane kaun sa tufan thopa jaega jaane kis tazir ki khatir gawara hum bhi hain ye sar-e-fihrist aur ehsan-'danish' shadbash mujrmon mein aap ke nazdik goya hum bhi hain