wo misl-e-aina diwar par rakkha hua tha jo ek inam meri haar par rakkha hua tha main baen hath se dushman ke hamle rokta tha ki dayan hath to dastar par rakkha hua tha wahi to ek sahra-ashna tha qafile mein wo jis ne aable ko khar par rakkha hua tha visal o hijr ke phal dusron ko us ne bakhshe mujhe to rone ki begar par rakkha hua tha musallam thi sakhawat jis ki duniya bhar mein us ne mujhe tankhwah-e-be-dinar par rakkha hua tha khat-e-taqdir ke saffak o afsurda sire par mera aansu bhi dast-e-yar par rakkha hua tha falak ne us ko pala tha bade naz-o-niam se sitara jo tere rukhsar par rakkha hua tha wahi to zinda bach ke aae hain teri gali se jinhon ne sar teri talwar par rakkha hua tha wo subh o sham mitti ke qaside bhi sunata aur us ne hath bhi ghaddar par rakkha hua tha tere raste mein meri donon aankhen thin farozan diya to bas tere israr par rakkha hua tha