wo barq-e-naz gurezan nahin to kuchh bhi nahin magar sharik-e-rag-e-jaan nahin to kuchh bhi nahin hazar dil hai tera mashriq-e-mah-o-khurshid ghubar-e-manzil-e-jaanan nahin to kuchh bhi nahin bahaar-e-gul-kada-e-naz dil-kusha hai magar nasim-e-shauq khiraman nahin to kuchh bhi nahin hai khalwat-e-dil-e-viran hi manzil-e-mahbub ye khalwat-e-dil-e-viran nahin to kuchh bhi nahin har ek sans ho aatish-kada to kya hasil gudaz shola-e-pinhan nahin to kuchh bhi nahin baghair ishq hai rudad-e-zindagi tarik ye lafz zinat-e-unwan nahin to kuchh bhi nahin bahut buland hai dil ka maqam-e-khuddari magar shikast ka imkan nahin to kuchh bhi nahin sukun-e-shauq ho ya iztirab-e-shauq 'rawish' agar ba-manzila-e-jaan nahin to kuchh bhi nahin