rang-e-wahshat kam nahin zakhm-e-tamasha kam nahin zinda rahne ke liye aashob-e-duniya kam nahin dekhna chahen to sahil par liye manzar bahut dubna chahen to koi mauj-e-dariya kam nahin laut kar wapas nahin aae parinde aaj bhi hirs ke said-e-zabun ko baal-e-unqa kam nahin waqt ki raftar ko nape hai aql-e-na-rasa zarra-e-na-chiz bhi hangama-ara kam nahin baal-o-par ke aazmane ko fazaen hain bahut aasman ka dast-e-la-mahdud aisa kam nahin zer-e-pa mujh ko kai tute hue khanjar mile shahr-e-na-pursan mein bhi mere shanasa kam nahin is jahan khair-o-shar se bad-guman kyun ho koi bazu-e-qatil se 'nami' dast-e-isa kam nahin