wae-taqdir kya ye alamiya nahin sab hain apne magar koi apna nahin dida-o-dil ki sunsan sahra hue dil mein jazba to aankhon mein sapna nahin ishq ko tark karne mein diqqat na thi ishq ko mashghala hum ne samjha nahin ab ke mujh se mila wo to aisa laga wo hi chehra hai lekin wo chehra nahin phunk raha hai badan kunj-e-tanhai mein sar pe chhat hai magar man ka saya nahin meri nazron mein duniya bhi uqba bhi hai aadmi hun main 'athar' farishta nahin