rang jamne na diya baat ko chalne na diya koi pahlu mere matlab ka nikalne na diya kuchh sahaara bhi hamein roz-e-azal ne na diya dil badalne na diya bakht badalne na diya koi arman tere jalwon ne nikalne na diya hosh aane na diya ghash se sambhalne na diya chahte the ki payami ko pata den tera rashk ne nam tera munh se nikalne na diya shama-ru main ne kaha tha meri zid se us ne shama ko bazm mein apne kabhi jalne na diya