zindagi ehsan hi se mawara thi main na tha taq par rakkhi hui meri dawa thi main na tha meri hasti aaina thi ya shikast-e-aina baat itni si na samjhe mere sathi main na tha tu hi to sab kuchh sahi na-chiz ye ab kuchh sahi wo to meri ibtida be-intiha thi main na tha dekhta rahta hun manzar didani na-didani han magar hairan chashm-e-ma-siwa thi main na tha tu mujhe dushman samajhta hai to dushman hi sahi tu bhi waqif hai koi nadan sathi main na tha mere andar ka darinda kha raha tha pech-o-tab aur phir shaistagi zanjir-e-pa thi main na tha khair ab to chyunti bhi daudti hai katne jhulte the jab ki darwaze pe hathi main na tha