ye naqsh hum jo sar-e-lauh-e-jaan banate hain koi banata hai hum khud kahan banate hain ye sur ye tal ye lai kuchh nahin ba-juz taufiq to phir ye kya hai ki hum armughan banate hain samundar us ka hawa us ki aasman us ka wo jis ke izn se hum kashtiyan banate hain zamin ki dhup zamane ki dhup zehn ki dhup hum aisi dhup mein bhi saeban banate hain khud apni khak se karte hain mauj-e-nur kashid phir us se ek nai kahkashan banate hain kahani jab nazar aati hai khatm hoti hui wahin se ek nai dastan banate hain khuli faza mein khush-awaz taeron ke hujum magar wo log jo tir o sinan banate hain palat ke aae gharib-ul-watan palatna tha ye dekhna hai ki ab ghar kahan banate hain