sitam-rasida zamana-gazida logon se hamara rabt hai bas chida chida logon se kisi se bandh ke rakhte koi talluq kya khiche khiche rahe hum bhi kashida logon se ye mauj teri taraf bhi to laut sakti hai kalam khushk na kar aabdida logon se khusha junun ka ye aalam khusha ye wahshat-e-ishq bhara hai dasht gareban-darida logon se baghair un ke na jaane jahan ka kya ho ye bazm hai to unhi khwab-dida logon se na ho saka sukhan-e-garm se bayan 'tariq' jo kah gaya mera ashk-e-tapida logon se