ye maut-o-adam kaun-o-makan aur hi kuchh hai sun le ki mera nam-o-nishan aur hi kuchh hai itna to yaqin hai ki wahi hain teri aankhen is par bhi magar wahm-o-guman aur hi kuchh hai shoalon mein wo andaz kahan soz-e-nihan ke uthta hai jo dil se wo dhuan aur hi kuchh hai ek kaifiyat-e-raaz hai gham hai na masarrat is bazm-e-mohabbat mein saman aur hi kuchh hai jo marhala-e-qurbat-o-duri se guzar jae sunte hain ki wo jazb-e-nihan aur hi kuchh hai ya dard ke naghmon mein wahi hai teri aawaz ya parda-e-saz-e-rag-e-jaan aur hi kuchh hai ye nind ka jhonka to nahin be-khudi-e-ishq hushyar ki wo khwab-e-giran aur hi kuchh hai ab maut bhi hai gard-rah-e-kucha-e-jaanan un manzilon mein umr-e-rawan aur hi kuchh hai achchhe hain jahan hain magar ai daman-e-jaanan pate hain jo tujh mein wo aman aur hi kuchh hai bijli ke chamakne mein kahan ishq ki garmi wo shola-e-larzan-o-tapan aur hi kuchh hai jo zakhm khila de jo mera rang uda de wo fasl-e-gul o fasl-e-khizan aur hi kuchh hai ek khwab-e-parishan se hain is daur ke aasar hushyar ki ab rang-e-jahan aur hi kuchh hai ek chiz hai nairangi-e-rudad-e-mohabbat lekin ba-hadis-e-digaran aur hi kuchh hai shair hain 'firaq' aur bhi is daur mein lekin ye rang-e-bayan rang-e-zaban aur hi kuchh hai