rang nikharte phul bikharte jaenge jaane wale ek din laut ke aaenge jhuti sachchi baaten un ki mat sunna pyar ke dushman log tumhein bahkaenge tere baad judaiyan kaise kati hain ek ek lamha ek ek pal dohraenge hosh khirad aur aql-o-khirad ke mani ab diwane farzanon ko samjhaenge umad rahi hai yaadon ki ghanghor ghata nainon ke phir baadal meinh barsaenge teri chhoti chhoti khushiyon ki khatir tere sare dukh apnate jaenge tu bhi dhund mujhe aur main tujh ko dhundun ek duje ko kho kar ab pachhtaenge