rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka nam mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka nam phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam dilbari thahra zaban-e-khalq khulwane ka nam ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka nam ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin in dinon badnam hai har ek diwane ka nam mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se rind ka saqi ka mai ka khum ka paimane ka nam hum se kahte hain chaman wale ghariban-e-chaman tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka nam 'faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhen aashna ke nam se pyara hai begane ka nam
Please share if you liked this!!!