wo aadmi jo teri aarzu mein marta hai wo tujh se pyar nahin khud se ishq karta hai faza mein khauf ke parcham buland hote hain sawad-e-sham se lashkar koi guzarta hai meri zamin ke bulawe ghazab ke hain lekin koi junun mere par raat-din katarta hai main apne aap ko ab kis ke chaak par rakkhun shikasta zarf dobara kahin sanwarta hai lage hue hain jahan par visal ke kheme udhar se hijr ka rahwar bhi guzarta hai