ranj itne mile zamane se lab chatakhte hain muskurane se dhundli dhundli si pad gai yaaden zakhm bhi ho gae purane se mat banao ye kanch ke rishte tut jaenge aazmane se tirgi shab ki kam nahin hogi ghar ke andar diye jalane se aql ne dil ko kar diya hushiyar bach gae hum fareb khane se ho hi jaenge hum riha ek din chhut jaenge qaid-khane se ai 'siya' tang aa chuki hun main hausle ki chita jalane se