kam purana bahut naya tha firaq ek ajab ramz-ashna tha firaq dur wo kab hua nigahon se dhadkanon mein basa hua hai firaq sham-e-gham ke sulagte sahra mein ek umandti hui ghata tha firaq amn tha pyar tha mohabbat tha rang tha nur tha nawa tha firaq fasle nafraton ke mit jaen pyar hi pyar sochta tha firaq hum se ranj-o-alam ke maron ko kis mohabbat se dekhta tha firaq ishq insaniyat se tha us ko har tassub se mawara tha firaq