sans tak aata nahin ye haal hai ishq kya hai jaan ka janjal hai fitna-e-mahshar tumhaari chaal hai har qadam par dil mera pamal hai hijr mein kis tarah aaega qarar jab tumhaare samne ye haal hai wo hamare pas kyon aane lage nama-bar ki is mein koi chaal hai ishq ki jo kuchh saza ho dijiye hum ko apne jurm ka iqbaal hai jis mein phans kar koi chhuta hi nahin wo tumhaare gesuon ka jal hai tu bhi zahid un ko dekhe to kahe kya jawani kya ada kya chaal hai marsiya hai ye dil-e-marhum ka ya hamara nama-e-amal hai aaj se diwana hai 'hajir' koi ek muddat se pareshan-haal hai