sochna chhod diya hum ne ki kal kya hoga is se behtar gham-e-dauran tera hal kya hoga tum mujhe shahr-badar kar to rahe ho lekin ye bhi socha hai ki anjam-e-ghazal kya hoga main to kar lun ba-khushi tujh ko gawara lekin gham-e-tanhai tera dard-e-amal kya hoga jis ki khushbu se mahakte hain dar-o-baam-e-hayat kuchh sahi mausam-e-gul is ka badal kya hoga jagmagata hai jo har zarre ke dil mein aksar hae wo husn-e-sanam husn-e-azal kya hoga khud masiha hai yahan aah-o-fughan mein masruf is se auron ki takalif ka hal kya hoga gesu-e-waqt ulajhte hi chale jate hain har bashar soch mein duba hai ki kal kya hoga ai mere bhulne wale kabhi ye bhi socha jagmaga utthe jo yaadon ke kanwal kya hoga har-nafas dar ki manind lage hai 'akhtar' zindagi ye hai to phir rang-e-ajal kya hoga