ranj-o-rahat ke manazir hain zamane humse

ranj-o-rahat ke manazir hain zamane hum se
naghma hum se hai fughan hum se tarane hum se

hum ne sachchai se suli ko ata ki azmat
yani haq-goi ke zinda hain fasane hum se

ye kudurat ke pujari ye tassub ke naqib
aa ke le jaen mohabbat ke khazane hum se

hum ne bujhne na diye ishq-o-mohabbat ke charagh
raushni pai hai duniya-e-wafa ne hum se

apne sine mein liye baithe hain khurshid-jamal
kya milaenge nazar aaina-khane hum se

haram-o-dair se nakaam palatne wale
puchhte hain tere milne ke thikane hum se

sab hamein kahte hain diwana-e-ulfat 'musa'
gulshan aabaad hain sahra hain suhane hum se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close