ranj par ranj musibat si musibat dekhi hijr-e-maula mein ye aaram ki surat dekhi mahw-e-didar rahe hashr mein aashiq tere aankh utha kar na kabhi khuld ki surat dekhi le liya wada-e-bakhshish bhi duhai kar ke shafe-e-hashr ki ummat se mohabbat dekhi aa gai mujh ko nazar ghayat-e-chashm-e-mushtaq qabr mein aa ke mohammad ki jo surat dekhi aazmati hai shab-e-hijr mujhe kya hamdam main to khush hun ki judai ki haqiqat dekhi jalwe ka wada qayamat pe kiya tha mauquf aap ke hijr mein sau bar qayamat dekhi khush-nasibi hai ki main ashraf-e-makhluq hua lillahil-hamd gham-e-ishq ki lazzat dekhi khar-e-taiba ko gul-e-khuld se badh kar samjhe hum ne in kanton mein wo bu-e-mohabbat dekhi daur-e-saghar se to pahle hi na tha hosh mujhe main ne saqi ki nigahon mein karamat dekhi parda-e-hashr mein poshida rakha apna jamal us ne jab talib-e-didar ki kasrat dekhi dukhtar-e-raz ki nigahon se bachae allah aap ne 'rasikh'-e-mai-khwar ki haalat dekhi