us shokh ko mail-ba-wafa dekh raha hun kya baat hai ya-rab ye main kya dekh raha hun dekhe to koi zauq-e-nazar ka ye tamasha main parda-e-zulmat mein ziya dekh raha hun har chiz haqiqat mein hai wabasta-e-markaz har chiz ko markaz se juda dekh raha hun is jalwe ne ehsan kiya jab se nazar par har shai mein ise jalwa-numa dekh raha hun har shakhs hai diwana yahan apni gharaz ka ye kaisi zamane ki hawa dekh raha hun jo shakhs hai firaun hai jo banda hai namrud duniya mein hazaron hi khuda dekh raha hun kya dekh raha hun ye kahun kya main kisi se khud soch mein hun gharq main kya dekh raha hun us shokh ki har baat dil-awez hai yani har baat mein ek lutf naya dekh raha hun malum nahin ishq kise kahte hain 'shaida' dil mein magar ek hashr bapa dekh raha hun