sarsari bhi hai kargar bhi hai ye katari bhi hai nazar bhi hai kise taka kise kiya bismil o kaman-dar kuchh khabar bhi hai kaun kahta hai gul nahin sunte aah-e-bulbul mein kuchh asar bhi hai go meri dastan hai tul bahut tum suno to ye mukhtasar bhi hai majma'-ul-barzakhain hai insan ye farishta bhi hai bashar bhi hai nazr hai jo pasand aae tumhein dil bhi maujud hai jigar bhi hai war teri nigah ka roke kaun kahin us tegh ki sipar bhi hai ye bhi khidmat mein sar buland rahe aaina-dar ek qamar bhi hai un ke wadon ka kuchh yaqin nahin guftugu mein agar magar bhi hai ghair ne tegh par gila na dhara koi mera sa be-jigar bhi hai ghair kya marke mein aaenge buz-dilon ka yahan guzar bhi hai uttho 'akbar' chalo madine ko is se behtar koi safar bhi hai