raqs-e-taus-e-tamanna nahin hone wala ab yahan koi tamasha nahin hone wala sarfaraaz-e-jahan hona hi nahin hai mujh ko sahibo main sag-e-duniya nahin hone wala khinch lo dast-e-talab band karo chashm-e-umid wo tunuk-zarf kisi ka nahin hone wala mujh ko hangama-e-duniya ne nawaza hai bahut main to khalwat mein bhi tanha nahin hone wala phir bhi masruf hain hum us ki taraf-dari mein jaante hain wo hamara nahin hone wala ab bhi tabinda hain aaina-e-ayyam mein hum aks apna kabhi dhundla nahin hone wala raat bhar jashn-e-mulaqat munawwar hi sahi subh-dam koi kisi ka nahin hone wala yun to sab kuchh hai magar khema-e-khush-khwabi mein hum faqiron ka guzara nahin hone wala koi mausam bhi ho shadab rahega 'akhtar' shajar-e-shauq fasurda nahin hone wala