saat-e-marg-e-musalsal har nafas bhaari hui phir faza-e-jaan pe sadiyon ki thakan tari hui khanaman-barbaad yaaden dastaken dene lagin jab kabhi apni taraf badhne ki tayyari hui us ne apne aap ko hum par munawwar kar diya phir bhi chashm-e-shauq mein raushan na chingari hui ab kisi ki bhi nazar uthti nahin su-e-falak hum zamin walon ko aakhir kaisi bimari hui waqt ki daldal mein khush-ahang lamhe dhans gae yani har saat sukut-e-shab ki hai mari hui is tarah be-kaif mausam to kabhi guzra na tha phul hi barse na to ab ke sharar-bari hui ab dayar-e-dil mein 'akhtar' hu ka aalam bhi nahin kis aziyyat-nak mausam se meri yari hui