tamam nur-e-tajalli tamam rang-e-chaman ye tera chand sa chehra ye tera gul sa badan na dagmagae qadam garche rah-e-ulfat mein kahin the dasht-o-bayaban kahin the dar-o-rasan hazar aae zamane mein inqalab magar mizaj husn ka badla na ishq hi ka chalan sabaat-o-sabr zaruri hai aadmi ke liye shikan jabin pe na aae ba-waqt-e-ranj-o-mehan ye baat aur hai naqid rahe zamana magar jahan se mit nahin sakte nuqush-e-tesha-fan mera dayar hai mehr-o-wafa ka gahwara adu-e-mehr-o-mohabbat ka hai magar madfan haqiqaton se ba-har-haal jo gurez kare wo shairi hai na hikmat na wo hunar hai na fan har ek ko jaan zamane mein apni pyari hai aziz-tar hai magar hum ko jaan se bhi watan bahut hi shor tha rangini-e-jahan ka magar mila na hum ko yahan kuchh siwa-e-ranj-o-mehan wo jaan-e-husn-o-latafat hi ban ke aaya hai bahaar ghuncha-ba-ghuncha saba chaman-ba-chaman hazar bar hua imtihan-e-ishq magar na jaane husn hai kyun mujh se bad-guman 'darshan'