ras aane lagi hai KHamoshi

ras aane lagi hai khamoshi
dil ko bhane lagi hai khamoshi

silsila guftugu ka tut gaya
aane jaane lagi hai khamoshi

shor-e-goyai har taraf sun kar
khauf khane lagi hai khamoshi

ahl-e-dil chup hain majra kya hai
dil jalane lagi hai khamoshi

la-makan aur makan ka rishta
kyon chhupane lagi hai khamoshi

bolte shahr hanste qariyon par
ab to chhane lagi hai khamoshi

ban ke baithe hain gunge ab un ko
aazmane lagi hai khamoshi

ek chup par hazar baaten kyon
ab banane lagi hai khamoshi

khali zehnon mein sanp ki manind
sarsarane lagi hai khamoshi

be-zabani ka ye taqaza hai
rang lane lagi hai khamoshi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close