raunaq-e-bazm bhi hai garmi-e-bazar bhi hai

raunaq-e-bazm bhi hai garmi-e-bazar bhi hai
dekhna ye hai koi dil ka kharidar bhi hai

is haqiqat ko kisi ahl-e-nazar se puchho
jo hai diwana wahi mahram-e-asrar bhi hai

dekhna ye hai ki diwana kidhar jata hai
dawat-e-tur bhi hai jalwa-gah-e-dar bhi hai

thokaren kha ke zamane ki ye malum hua
zindagi sirf lachak hi nahin talwar bhi hai

zindagi kya hai kahen is ke siwa kya 'shaariq'
ek uqda hai ki aasan bhi hai dushwar bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close