sukut-e-gham ko bhi tarz-e-bayan kahna hi padta hai mohabbat mein khamoshi ko zaban kahna hi padta hai kabhi hum meherban ko meherban kahte bhi darte hain kabhi na-mehrban ko meherban kahna hi padta hai taqaza-e-wafa kahiye ise ya maslahat kahiye zaban rakh kar bhi khud ko be-zaban kahna hi padta hai kahan tak zabt ka daman na chhoden hum bhi insan hain kisi se to kabhi dard-e-nihan kahna hi padta hai kabhi aisa bhi hota hai ki khud manzil se ghabra kar ghubar-e-karwan ko karwan kahna hi padta hai mayassar jis qafas mein ho gulistan ki si aazadi to phir aise qafas ko aashiyan kahna hi padta hai guzar jate hain jo lamhe teri yaadon ke sae mein unhen taskin-e-dil aaram-e-jaan kahna hi padta hai jahan sayyaad rakh deta hai kuchh tinke nasheman ke hamein phir us jagah ko aashiyan kahna hi padta hai harim-e-naz mein fariyaad ka kya kaam ai 'jauhar' fughan ko bhi yahan nang-e-fughan kahna hi padta hai