shikast-e-abla-e-dil mein naghmagi hai bahut

shikast-e-abla-e-dil mein naghmagi hai bahut
sunega kaun ki duniya badal gai hai bahut

har ek naqsh mein hai na-tamamiyon ki jhalak
tere jahan mein kisi chiz ki kami hai bahut

gale laga ke gul-o-nastaran ko roya hun
ki mujh ko nazm-e-gulistan se aagahi hai bahut

yahan kisi ka bhi chehra dikhai de na sake
harim-e-dil mein tamanna ki raushni hai bahut

main ek lamha bhi manind-e-shama jal na sakun
wo ek shab ke liye hi sahi jali hai bahut

hai khud-fareb bahut mere ahd ka fankar
hunar nahin bhi to shor-e-hunar-wari hai bahut

labon pe jaan ho to ehsas-e-talkh-o-shirin kya
kahin se zahr hi lao ki tishnagi hai bahut

khirad ko naz hai kyun rasm-e-kaj-kulahi par
sar-e-junun ke liye musht-e-khak bhi hai bahut

garan hai jins-e-wafa aur mushtari nayab
hazar bar luta hun ki dil ghani hai bahut

ajab nashat ke pahlu gham-e-habib mein hain
ki dubti nahin ye naw dolti hai bahut

tumhaara nam kisi ajnabi ke lab par tha
zara si baat thi dil ko magar lagi hai bahut

dam-e-widaa mein yun muskura raha hun 'nasim'
ki jaise un se judai ki bhi khushi hai bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close