shoala-sifat wo aag ugalta dikhai de mera wajud mujh ko pighalta dikhai de kis ko sharik-e-rah karen ham-safar kahen har ek rafiq rah badalta dikhai de mayusiyon ke tapte hue reg-zar mein panw har ek khayal ka jalta dikhai de ye waqt sazgar kisi ke liye nahin har shakhs ab to hath ko malta dikhai de ab teri meri rah mein nafrat ki kai hai kaise chalun ki panw phisalta dikhai de ab ai 'matin' dost ki dushman ki kya tamiz jis se milo wo zahr ugalta dikhai de