unhen kya ilm jo hum ko yahan samjhane aae hain ki hum dair-o-haram hote hue maikhane aae hain unhen bhi dekh aaen ek nazar mujh se farmaen unhin par chhodta hun jo mujhe samjhane aae hain hamein puchho surur un ka ki ye saqi ki mast aankhen hamare zarf se nape hue paimane aae hain agar aae hain naseh aaen lekin ye to farma den samajhne aae hain khud ya hamein samjhane aae hain badha chal shauq se ai ishq ke rahi ki is rah par kahin basti bhi aaegi agar virane aae hain mai-e-gul-gun hai saqi hai 'sahar' waiz se kahta hai abhi farmaen mujh se aap jo farmane aae hain