raushni ke ek hawale ko liye phirta hun main

raushni ke ek hawale ko liye phirta hun main
apni jebon mein ujale ko liye phirta hun main

mera maslak hai jahan mein sab ko thandak bantana
chand hun dharti pe haale ko liye phirta hun mein

sidq ke izhaar ka is se bada kya ho subut
aaj kal honton pe tale ko liye phirta hun main

maut ko mujh se nahin hai chhinne wala koi
zahr-e-khalis ke piyale ko liye phirta hun main

jo bhi mere samne aaega khaega shikast
dil mein ummidon ke bhaale ko liye phirta hun main

ho gaya hai aankh mein mahfuz khun roya hua
baadalon ke surkh gale ko liye phirta hun main

parwarish pati hain sajid makadiyan takhliq ki
zehn mein sochon ke jale ko liye phirta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close