wo itr-e-khak ab kahan pani ki bas mein hum ne badal liya hai piyala gilas mein kal raat aasman mera mehman raha kya jaane kya kashish thi mere iltimas mein mamnun hun main apni ghazal ka ye dekhiye kya kaam kar gai mere gham ke nikas mein main qaid-e-haft-rang se aazad ho gaya kal shab naqab laga ke makan-e-hawas mein phir ye fasad-e-firqa-o-maslak hai kis liye tu aur main to ek hain apni asas mein