raushni mein kis qadar diwar-o-dar achchhe lage shahr ke sare makan sare khandar achchhe lage pahle pahle main bhi tha amn o aman ka mo'tarif aur phir aisa hua nezon pe sar achchhe lage jab talak aazad the har ek masafat thi wabaal jab padi zanjir pairon mein safar achchhe lage daera dar daera pani ka raqs jawedan aankh ki putli ko dariya ke bhanwar achchhe lage kaise kaise marhale sar teri khatir se kiye kaise kaise log tere nam par achchhe lage