tabdili-e-mizaj ko aab-o-hawa mile sagar mein jo kashish hai pahadon pe kya mile main sipiyan hi chunti hun sahil ki ret se main dhundhti hi kab hun ki moti pada mile aamada hi nahin hai parinda rihai par zanjir tut jae ya pinjra khula mile andar ki tod-phod ne ta'mir kar diya ab is se badh ke aur bhala kya saza mile ek main nahin akeli sarabon ke shauq mein apne 'alawa aur kai mubtala mile hamdard ban ke sunte hain sab ki kahaniyan mazmun likhne ke liye kuchh to naya mile aankhon mein ek ashk hi rakkha sanbhaal ke dekha na koi khwab to ta'bir kya mile derina doston ka kabhi to khayal kar ye kya ki jab mile to sabhi se khafa mile goya sukun-e-qalb 'ata kar diya gaya sad-shukr hai khuda ka hamein mustafa mile