raushniyan badan badan tere mere lahu se hain lams ki sari lazzaten jism ki haw-hu se hain qurbat-e-roz-roz mein ranjishen itni badh gain wo bhi gurez-pa se hain hum bhi bahana-ju se hain dar hai ki sham-e-hijr mein dil ka diya bujha na den ab ke hawa ki sazishen shola-e-arzu se hain jitne khizan ke dhang hain jitne faza mein rang hain mere hi khar-o-khas se hain mere hi rang-o-bu se hain meri mata-e-zindagi khwahish-e-zakhm hi to hai mere junun ke silsile lazzat-e-justuju se hain khush hain ki laut aae hain sare musafiran-e-gham garche ye surkh-ru nahin phir bhi ye surkh-ru se hain jis ke kamal-e-tanz se shahr sarapa zakhm hai us ko sabhi shikayaten mohsin-e-qand-khu se hain