zulm ki kuchh miad nahin hai dad nahin fariyaad nahin hai qatl hue hain ab tak kitne ku-e-sitam ko yaad nahin hai aakhir roen kis ko kis ko kaun hai jo barbaad nahin hai qaid chaman bhi ban jata hai murgh-e-chaman aazad nahin hai lutf hi kya gar apne muqabil satwat-e-barq-o-baad nahin hai sab hon shadan sab hon khandan tanha koi shad nahin hai dawat-e-rang-o-nikhat hai ye khanda-e-gul barbaad nahin hai