wo mere qalb ko chhedega kab guman mein tha jo ek tir mere dost ki kaman mein tha wo zer-e-saya-e-altaf-e-baghban mein tha jo aashiyana zad-e-barq-e-be-aman mein tha figar lai se hua meri sina-e-nai bhi nafas nafas teri chahat ka imtihan mein tha ye moajaza tha yaqinan teri mohabbat ka jo auj-e-fikr-o-takhayyul mere bayan mein tha wo jis ne dhup ki parchhain tak nahin dabi use samajhte ho har lamha saeban mein tha mukhalifon ko bhi apna bana liya tu ne ajib tarah ka jadu teri zaban mein tha niyaz-e-ishq ne aakhir utha diya 'atish' wo ek parda sa hael jo darmiyan mein tha