shadid habs mein rahat hawa se hoti hai bahaal apni tabiat hawa se hoti hai koi charag jalata nahin saliqe se magar sabhi ko shikayat hawa se hoti hai lachak ke tut na jae kahin ye shakh-e-badan chale jo tez to wahshat hawa se hoti hai kahin dhuwen ke siwa kuchh nazar nahin aata kabhi kabhi wo shararat hawa se hoti hai hawa se kah do ki kuchh der ko thahar jae khajil hamari ibarat hawa se hoti hai azal se us ki tabiat mein sar-kashi hai 'talab' kahan kisi ki itaat hawa se hoti hai