sard pad jae khun pani na ho meri tahzib zafrani na ho ungliyan aap ki lahu mera kaise tahrir jawedani na ho khatm karna ho ek talluq bhi aur diwar bhi uthani na ho kah rahi hain wo khush-sukhan aankhen ab koi baat bhi zabani na ho jis tarah tum ne ikhtitam kiya khatm aise koi kahani na ho nafraton ka ilaj mumkin hai gar ye bimari khandani na ho hum kabhi dil kabhi nazar mein rahen la-makani ho be-makani na ho wo juda ho ke hai malul bahut ye kahin teri khush-gumani na ho