reg-e-rawan pe naqsh-e-kaf-e-pa na dekhna aaina-e-zamir mein chehra na dekhna be-sarfa hai lahu ki tamazat mere liye asrar-e-jism-o-jaan ko barhana na dekhna jo aansuon ke lal-o-jawahar bikher de us ek mauj-e-dard ko uthta na dekhna raaton ka chain din ka sukun ho agar aziz chalta hai sath sath jo saya na dekhna hai shab ki aastin mein gunahon ki raushni zakhm-e-nazar se surat-e-zeba na dekhna hum bhi fasil-e-shahr ke sae mein aa ruke wa ho dar-e-murad to sahra na dekhna ye ehtiyat-e-waz-e-junun hi nahin magar rah-e-wafa mein apne ko begana dekhna har shakh par jale hue lamhon ki rakh hai fasl-e-bahaar zakhm-e-tamanna na dekhna