teri zamin se uthenge to aasman honge hum aise log zamane mein phir kahan honge chale gae to pukaregi har sada hum ko na jaane kitni zabanon se hum bayan honge lahu lahu ke siwa kuchh na dekh paoge hamare naqsh-e-qadam is qadar ayan honge samet lijiye bhige hue har ek pal ko bikhar gae jo ye moti to raegan honge uchat dil ka thikana kisi ko kya malum hum apne aap se bichhde to phir kahan honge hain apni mauj ke bahte hue samundar hum tamam dasht-e-junun mein rawan-dawan honge ye bazm-e-yar hai qurban jaiye is par suna hai 'ashk' yahan dil sabhi jawan honge