wo ek lafz jo kabhi us ne kaha nahin main ne to sun liya tha par us ne suna nahin eajaz us ki chashm-e-karam ka hai dosto pahle sa zakhm dil ka mere ab hara nahin ek saat-e-hasin ne mujhe aashna kiya main to gham-e-hayat se tha aashna nahin manzar wo meri aankh mein baqi hai khwab sa kashti bhanwar mein qaid hai aur nakhuda nahin ta-hadd-e-chashm sard-o-siyah-posh hai faza shoala koi bhi khak se meri utha nahin khushbu ragon mein tair rahi hai bahaar ki koi bhi naqsh dil ki zamin par naya nahin ek mauj-e-tund-o-tez baha le gai mujhe sahil pe dur dur koi naqsh-e-pa nahin